Sunday, 29 January 2012

Ruko Nahi, Chalte Raho.....Chalte Raho!

This one is from my Father! I'm miles away from him! this very poetry won 1st prize all over India! moreover this is one of my favorites from dad's writings!....

*Ruko Nahi, Chalte Raho.......Chalte Raho
*Paristithi Pratikool Hai,
*Apno Ne Chubhoya Shool Hai,
*Marg Mein, Bhatkan Bhool Hai,
*Roshan Rahega Deep, Jalte Raho
*Ruko Nahi, Chalte Raho.......Chalte Raho!

*Phoolo Ke Sang Khar Aaega
*Sona Tapega, Nikhar Aaega
*Loha Pighlega, Aakar Aaega,
*Niraakar Phir Sakar Aaega,
*Samay Ki Dhara Badalte Raho,
*Ruko Nahi, Chalte Raho.......Chalte Raho!

*Antarmann Ki Baat Bhooj Lo,
*Samay Rehte Sooj Bhooj Lo,
*Sankat Aaye, Usse Joojh Lo,
*Jeevan Ki Paheli Bhooj Lo,
*Jhuke Vriksh Ka Arth Yehi Hai, Falte Raho
 *Ruko Nahi, Chalte Raho.......Chalte Raho!

*Waqt Ke Thapere Sehna Seekho,
*Ganga Sareekha Behna Seekho,
*Krishn Ki Tarah Kehna Seekho,
*Ram Ki Tarah Rehna Seekho,
*Yun Na Zindagi Ko Chhalte Raho,
*Ruko Nahi, Chalte Raho.......Chalte Raho..... 

-Dharmender Tewari





1 comment:

  1. Super nice poem by your father. :)
    Every single line is inspiring to move on 'n' on...
    Pay him my regards..

    ReplyDelete